Monsoon Skincare Routine – Say Bye to Greasy Skin! (Tried & Tested by Me!)

Monsoon ka mausam mujhe hamesha romantic lagta tha – baarish, thandi hawa, chai aur pakoray! 😍 Lekin meri skin ka haal iss season mein kuch aur hi hota hai – oily, dull aur acne-prone. Pehle mujhe samajh hi nahi aata tha ke kya karun, lekin ab maine ek simple sa routine set kiya hai jo meri skin ko fresh aur balanced rakhta hai, even in this humid weather. Aaj ka blog specially un girls ke liye hai jo meri tarah monsoon mein oily ya combination skin se deal karti hain. 💦


🌧️ Monsoon Skin Problems – Been There, Faced That!

Humidity ki wajah se mere pores clog ho jatay hain, cheeks oily ho jatay hain aur forehead pe tiny pimples nikal aatay hain. Trust me, it's frustrating! Lekin jaise hi maine apni skincare routine thodi si adjust ki, mujhe farq mehsoos hone laga.


☀️ My Morning Skincare Routine

Step 1: Face Wash
Main subha sab se pehle apna face wash karti hu Saeed Ghani Neem Face Wash se. It’s gentle, oil-control karta hai aur mujhe personally bohat suit karta hai.

Step 2: Rose Water as Toner
Mujhe expensive toners pasand nahi, isliye mai Saeed Ghani ka rose water use karti hu – affordable bhi hai aur refreshing bhi.

Step 3: Gel Moisturizer
Pond’s Super Light Gel mera all-time favorite hai. It absorbs quickly and doesn’t feel sticky at all.

Step 4: Sunscreen
Even jab clouds hote hain, mai Rivaj UK SPF 50 sunscreen lagana nahi bhoolti. Trust me, sun damage ka koi season nahi hota!


🌙 My Nighttime Routine (Simple & Chill)

Step 1: Double Cleansing
Pehle mai Garnier Micellar Water se makeup ya dirt remove karti hu, phir normal face wash karti hu.

Step 2: Multani Mitti Mask (2-3 times a week)
Main apna DIY mask banati hu – Multani mitti + rose water. It literally soaks up all the oil!

Step 3: Serum (When Needed)
Breakouts zyada hon to mai The Ordinary ka niacinamide serum use karti hu – par roz nahi, jab zarurat ho.

Step 4: Moisturizer Again!
Same Pond’s wala gel – no heavy creams in monsoon!


Some Tips From My Personal Experience

  • Mai hamesha apne bag mein blotting paper rakhti hu – zyada shine aa jaye tou kaam aa jata hai.

  • Face ko unnecessary touch karna band karo – mujhe is habit se chhutkara lena muskil laga but worth it!

  • Pani zyada piyo – main ab 6-7 glasses rozana peeti hu aur skin glow krti hai.


💬 From Fati to You...

Ye routine mujhe personally bohat suit karta hai – na sirf meri skin calm rehti hai, balkay fresh bhi feel karti hu whole day. Har cheez budget-friendly hai, isliye try zaroor karna aur agar tumhe bhi achha result mile tou mujhe comments mein zaroor batana. Let’s glow through the monsoon together! 🌧💖

Comments

Popular Posts